LYRIC

Aisi haseen chandani pehle kabhi na thi
Aisi haseen chandani pehle kabhi na thi
Shamil hain ismein aapke
Shamil hain ismein
aapke chere ka noor bhi
Aisi haseen chandani pehle kabhi na thi
Zulfein hain ya ghataon
ki parchaiyan si hain
Zulfein hain ya ghataon
ki parchaiyan si hain
Aankhon mein neele jheel
ki gehraiyan si hain
Labb hain kali gulaab ki rukhsar champai
Labb hain kali gulaab ki rukhsar champai
Aisi haseen chandani pehle kabhi na thi
Kijiye mera khayal aji kuch to sochiye
Kijiye mera khayal aji kuch to sochiye
Apni nigah apne tabbasum ko rokiye
Hadh se guzarti jaye hain deewangi meri
Hadh se guzarti jaye hain deewangi meri
Aisi haseen chandani pehle kabhi na thi
Tanhaiyon ka pyar se daman sajaiye
Tanhaiyon ka pyar se daman sajaiye
Tadpaliya sataliya ab aa bhi jaiye
Kabse hain intezar mein bahe khuli hui
Kabse hain intezar mein
Kabse hain intezar mein bahe khuli hui
Aisi haseen chandani pehle kabhi na thi
Shamil hain ismein
aapke chere ka noor bhi
Aisi haseen chandani pehle kabhi na thi

Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO