LYRIC

Chanda dekhe chanda
To woh chanda sharmaye
Chanda dekhe chanda
Gori gori chandni mein
Gori jab muskaye

Jiya bole piya
To yeh jiya sharmaye
Jiya bole piya
Gori gori chandni mein
Gori jab muskaye

Chaand se mathe pe bindiya
Jhilmilaye aise
Chaand sooraj raat mein
Ik sath chamkein aise

Chaand se mathe pe bindiya
Jhilmilaye aise
Chaand sooraj raat mein
Ik sath chamkein aise
Jee kare yeh umar yoon hi
Dekhte kat jaaye

Jiya bole piya
To yeh jiya sharmaye

Jiya bole piya

Nain ban jaati hain ghoonghat
Man dulhan ki asha
Baanchte hain jab nayan
Tere nayan ki bhashha

Nain ban jaati hain ghoonghat
Man dulhan ki asha
Baanchte hain jab nayan
Tere nayan ki bhashha
Nain mein chhupkar mere
Mujhko tu mujhse churaye

Chanda dekhe chanda
To woh chanda sharmaye
Chanda dekhe chanda
Gori gori chandni mein
Gori jab muskaye

Preet ke rang mein ranga hai
Tera udta aanchal
Maine bandha hai isi mein
Ek deewana paagal
Aanchal ki chhaya mein
Yeh paagal jiye mar jaaye

Jiya bole piya
To yeh jiya sharmaye
Gori gori chandni mein
Piya jab muskaye
Chanda dekhe chanda


Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO