LYRIC

Ho.. chehra hai ya chaand khila hai
Zulf ghaneri shaam hai kya
Saagar jaisi aankhon waali
Ye to bata tera naam hai kya
Chehra hai ya chaand khila hai
Zulf ghaneri shaam hai kya
Saagar jaisi aankhon waali
Ye to bata tera naam hai kya
Are tu kya jaane teri khaatir
Kitna hai betaab ye dil
Tu kya jaane dekh raha hai
Kaise kaise khwaab ye dil
Dil kehta hai tu hai yahan to
Jaata lamha tham jaaye
Waqt ka dariya behte behte
Iss manzar mein jum jaaye
Tune diwaana dil ko banaya
Is dil par ilzaam hai kya
Saagar jaisi aankhon waali
Ye to bata tera naam hai kya
Ho aaj main tujhse door sahi aur
Tu mujhse anjaan sahi
Tera saath nahi paaun to
Khair tera armaan sahi
Ho ye armaan hai shor nahi ho
Khamoshi ke mele ho
Is duniya mein koi nahi ho
Hum dono hi akele ho
Tere sapne dekh raha hoon
Aur mera ab kaam hai kya
Saagar jaisi aankhon waali
Ye to bata tera naam hai kya
Chehra hai ya chaand khila hai
Zulf ghaneri shaam hai kya
Saagar jaisi aankhon waali
Ye to bata tera naam hai kya

Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO