LYRIC

Hey…

Dil ka jo haal hai
Woh tujhe kaise bayaan kare
Keh de tujhe ya dil mein rakhe
Bolo na kya kare
Dil jo tumhara hai
Kaisa bechara hai
Maane na besharam bilkul khatara hai
Tu kare dil beqaraar
Kyun karoon main tujhse pyar (x2)

O o…

Pehle bhi kitni dafa dil ne kaha tujhe
Samjho na meri wafaa
Dunga duaa tujhe
Rishta koi nahi tera-mera
Hone laga hai tu baawra
Teri jhooti wafaa

Jaayegi tu jahaan
Aaunga main wahaan
Meri banegi tu aana tujhe yahaan

Kyun kare tu mujhse pyaar
Kyun kare dil bekaraar

Jaane kyun dil ye tera
Hai mere pyaar mein
Laakhon qataar mein hai
Mere intezaar mein

Rokun jo dil ko toh ruke naa
Aankhein dikhaaun par jhuke naa
Hain ye tujhpe fida

Din ke khayalon mein
Beete sawaalon mein
Shabd naye buno
Kuch toh naya kaho

Tu kare dil beqaraar
Kyun karoon main tujhse pyaar

Dil ka jo haal hai
Woh tujhe kaise bayaan kare
Keh de tujhe ya dil mein rakhe
Bolo na kya kare
Dil jo tumhara hai, kaisa bechara hai
Maane na besharam bilkul khatara hai
Tu kare dil beqaraar
Kyun karoon main tujhse pyar (x2)

Tu kare dil beqaraar
Kyun karoon main tujhse pyar


Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO