LYRIC

ek din sapane main dekha sapana
kya?
wo jo he naa amitabh apana
bachchan!
haa …
market se out hua
logon ko dout hua
meri vajah se wo gaya gaya gaya
kismat jo badali
kya kahoon rili
main amitabh ho gaya…
ho, sapane main dekha sapana

daayen main hema,
malini
baayen main zeenat,
amaan
saamne rekha, peeche jo dekha
kya hua?
ratna khadi thi, haath main chadi thi
dekhte dekhte main bhaag rahaa tha
dekha main jaag rahaa tha
ho, sapane main dekha sapane

haa, ek or yaad aayaa
ek din sapane main dekha sapana
kya?
wo jo he naa mistar pele apana
kaisaa khilaadi he, bada anaadi he
mere saath match ho gaya gaya gaya …
are maaraa jo chakka, kaich ho gaya
footbul main cricket?
kahana, sapane main dekha dekha sapana …

ek din choti si dekhi sapani
sapani??
wo jo he naa lata apni
lata ga raahi thi, main table pe tha
wo mukhade pe thi, main antare pe tha
taal kahan, taam kahan, tum kahan, ham kahan
taal kahan taam kahan tum kahan ham kahan
latafat, fataafat, fataafat, karaamaat
taake tika taake tika,
taake tika taake tika,
thay thai
sapane main dekha sapana
ho, sapane main dekha sapana


Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO