LYRIC

Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Nazar mein shokiyaan aur
bachpana shararat mein
Adaayen dekhke hum phans
gaye mohabbat mein
Hum apni jaan se jaayenge
jinki ulfat mein
Yakin hai ki na aayenge
woh hi maiyyat mein
Khuda sawaal karega agar qayamat mein
To hum bhi keh denge hum
lut gaye sharafat mein
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Wahin wahin pe qayamat
ho woh jidhar jaayein
Jhuki jhuki hui nazron
se kaam kar jaayen
Tadapta chhod dein raste
mein aur guzar jaayen
Sitam to yeh hai ke dil
le lein aur mukar jaayen
Samajh mein kuchh nahin
aata ki hum kidhar jaayen
Yahi iraada hai yeh kah
ke hum to mar jaayen
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Wafa ke naam pe mara hai bewafaon ne
Ke dam bhi humko na lene diya jafaon ne
Khuda bhula diya in husn ke Khudaon ne
Mita ke chhod diya ishq ki khataon ne
Udaye hosh kabhi zulf ki hawaon ne
khayal-e-naaz ne loota kabhi adaaon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Hazaron lut gaye nazaron
ke ik ishare par
Hazaron beh gaye toofan banke dhaare par
Na inke waadon ka kuchh
theek hai, na baaton ka
Fasana hota hai inka hazaar raaton ka
Bahot haseen hai vaise to bholpan inka
Bhara hua hai magar zehar se badan inka
Yeh jisko kaat lein
paani woh pee nahi sakta
Dava to kya hai dua
se bhi ji nahin sakta
Inhee ke maare hue hum
bhi hain zamane mein
Hain chaar lafz mohabbat
ke is fasane mein
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Zamana inko samajhta hai naik aur masoom
Magar yeh kaise hain, kya
hain kisi ko kya maloom
Inhein na teer, na
talvaar ki zaroorat hai
Shikar karne ko kaafi
nigahein ulfat hain
Haseen chaal se dil paaymal karte hain
Nazar se karte hain
baatein kamaal karte hain
Har ek baat mein matlab hazaar hote hain
Yeh seedhe-saadhe bade
hoshiyar hote hain
Khuda bachaye haseeno ki tez chaalon se
Pade kisi ka bhi paala na husn waalon se
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Husn waalon mein mohabbat
ki kami hoti hai
Chaahne waalon ki taqdeer buri hoti hai
Unki baaton mein banawat
hi banawat dekhi
Sharm aankhon mein, nigaahon
mein lagaawat dekhi
Aag pahle to mohabbat ki laga dete hain
Apne rukhsar ka deewana bana dete hain
Dosti kar ke phir anjaan nazar aate hain
Sach to yeh hai ki
beimaan nazar aate hain
Maut se kam nahin duniya
mein mohabbat inki
Zindagi hoti barbaad badaulat inki
Din baharon ke guzarte
hain magar mar-mar ke
Lut gaye hum to haseeno
pe bharosa kar ke
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne

Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO