LYRIC

Ik din kisi fakeer ne ik baat kahi thi

Ab ja ke dil ne mana, mana woh baat sahi thi

Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro

Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro

Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro

Main nahin kehta, main nahin kehta

Kitabon mein likha hai yaaro

Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro

Haan khuda hai yaaro

Hum to kya hain

Hum to kya hain woh farishton ko aazmata hai

Hum to kya hain woh farishton ko aazmata hai

Banakar humko mitata hai phir banata hai

Aadmi toot ke

Aadmi toot ke sau baar juda hai yaaro

Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro

Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro

Haan khuda hai yaaro

Imtehanon ka yahan daur yun hi chalta hai

Imtehanon ka yahan daur yun hi chalta hai

Aandhiyon mein bhi ummeedon ka diya jalta hai

Kal ki ummeed pe

Kal ki ummeed pe insaan jiya hai yaaro

Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro

Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro

Haan khuda hai yaaro

Kab talak humse

Kab talak humse takdeer bhala roothegi

Kab talak humse takdeer bhala roothegi

In andheron se ujaale ki kiran phootegi

Gham ke daaman mein

Gham ke daaman mein kahin chain chhupa hai yaaro

Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro

Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro

Main nahin kehta

Main nahin kehta kitabon mein likha hai yaaro

Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro

Haan khuda hai yaaro


Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO