LYRIC

Khamosh rehne mein dum ghut-ta hai
Aur bolne se zuban chilti hai
Dar lagta hai nange paanv mujhe
Koi qabra paanv tale hilti hai
Pareshan hu zindagi se
Kya pata kab kahan se maregi zindagi
Kya pata kab kahan se maregi zindagi
Bas ke main zindagi se darta hu
Bas ke main zindagi se darta hu
Maut ka kya hai ek baar maregi

Dhool udne lagti hai jab shaam ki
Sab kaanch bhar jate hain gard se
Main darta hu, main darta hu
Dil jab dhadakne se thakne lage
Neend aane lagti hai tab dard se
Anjan hu zindagi se

Kya pata kab kahan se maregi zindagi
Kya pata kab kahan se maregi zindagi
Bas ke main zindagi se darta hu
Bas ke main zindagi se darta hu
Maut ka kya hai ek baar maregi


Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO