LYRIC

Meri behna
Ho o meri behna deewaani hai
Meri behna deewaani hai
Par wo samajhti hai
Sabse wo sayaani hai

Mera bhaiya
Ho o mera bhaiya deewana hai
Par wo samajhta hai
Sabse wo sayaanaa hai

Meri behna
Ho o mera bhaiya

Raksha kare bhagwaan tumhaari
Raksha kare bhagwaan tumhaari
Tumse hai har baat humari

Dar mat behna
Baandh de raakhi
Us rab pe sab chhod de baaki
Duniya aani jaani hai

Meri behna deewani hai
Par wo samajhti hai
Sabse wo sayaani hai
Mera bhaiyya
Ho o meri behna

Tu kya jano chaah kisi ki
Tu kya jano chaah kisi ki
Tumko kya parwaah kisi ki

Mujhko tumse pyaar hai kitna
Mujhko tumse pyaar hai kitna
Itna, nahi itna, nahi itna
Jitna saagar mein paani hai

Meri behna deewani hai
Par wo samajhti hai
Sabse wo sayaani hai
Mera bhaiyya
Ho o meri behna

Raakhi ka tyohaar manaayen
Raakhi ka tyohaar manaayen
Aao jhhumein naachen gaayen

Yaad wo aayi raat andheri
Ek behan thhi aur bhi meri
Uska baaqi karz hai mujhpar
Uska badla farz hai mujhpar
Jiski ye kahaani hai

Meri behna deewaani hai
Par wo samajhti hai
Sabse wo sayaani hai

Mera bhaiya deewana hai
Par wo samajhta hai
Sabse wo sayana hai
Meri behna
Ho o mera bhaiya


Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO