LYRIC

Sarfaroshi ki tamanna
Abb hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna
Baazu-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna
Abb hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna
Baazu-e-qaatil mein hai
Waqt aane pe bata denge
Tujhe ae aasmaan
Kya baatayein hum junoon-e……
Shauq kis manzil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna
Abb hamaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna
Doriyan ummeed ki naa
Aaj hum se chhut jaayein
Mil ke dekha hai jinhe woh
Sapne bhi naa ruuth jaayein
Haunsle woh haunsle kya
Jo sitam se tuut jaayein
Haunsle woh haunsle kya
Jo sitam se tuut jaayein
Sarfaroshi ki tamanna
Abb hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna
Baazu-e-qaatil mein hai
Tere sone roop ko ham
Ik nayi bahaar denge
Apne hi lahuu se tera
Rung hum nikhaar denge
Des mere des tujhpe
Zindagi bhi vaar denge
Des mere des tujhpe
Zindagi bhi vaar denge
Sarfaroshi ki tamanna
Abb hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna
Baazu-e-qaatil mein hai
Khushbu banke mehka karenge hum
Leh-lahati har faslon mein
Saans banke hum gun gunaayenge
Aane waali har naslon mein
Khushbu banke mehka karenge hum
Leh-lahati har faslon mein
Saans banke hum gun gunaayenge
Aane waali har naslon mein
Aane waali Aane waali naslon mein
Sarfaroshi ki tamanna
Abb hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna
Baazu-e-qaatil mein hai
Waqt aane pe bata denge
Tujhe ae aasmaan
Kya baatayein hum junoon-e…….
Shauq kis manzil mein hai

Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO