LYRIC

Hona tha jo hua aye dil jaane bhi de
Hmm shikva kis baat ka aye dil jaane bhi de

Yaadon ke chaar lamhe Hain to sahi
Reh jaaye jo adhoora Hai ishq wohi

Soch liya tu khwaab tha mera
Toot gaya jo aaya savera
Soch liya hai bin tere jeena
Soch liya jo socha kabhi na

Soch liya tu khwaab tha mera
Toot gaya jo aaya savera
Soch liya hai bin tere jeena
Soch liya to soch liya

Ho..

Ab is dil mein mere
Hogi dhadak thodi kam
Aankhon mein aaj se
Hogi chamak thodi kam

Tere bina jo saans loon
Woh saans hogi sitam

Phir bhi tujhko aawaz dunga
Main na kabhi

Soch liya tu khwaab tha mera
Toot gaya jo aaya savera
Soch liya hai bin tere jeena
Soch liya jo socha kabhi na

Soch liya tu khwaab tha mera
Toot gaya jo aaya savera
Soch liya hai bin tere jeena
Soch liya to soch liya

Mujhe kheenchti jaaye
Teri yaadon ki yeh dor
Magar mud ke dekhunga
Na kabhi main teri ore

To kya betahasha
Dil pukare naam tera
Sun’na hi nahi hai
Dhadkano ka mujhko yeh shor

Soch liya tu khwaab tha mera
Toot gaya jo aaya savera
Soch liya hai bin tere jeena
Soch liya to soch liya

 


Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO