LYRIC

Sun ja aa thandi hawa
Aaha tham ja aye kaali ghata
Aaha sun ja aa thandi hawa
Aaha tham ja aye kaali ghata

Kuchh pyari pyari baatein hamari
Aa jaate jaate tu bhi sun ja
Sun ja aa thandi hawa
Aaha tham ja aye kaali ghata

Arre kuchh pyari pyari baatein hamari
Aa jaate jaate tu bhi sun ja

Sun ja aa thandi hawa
Aaha tham ja aye kaali ghata

Hum aaj dono akele hain
Sun bawari shor yunhi machana na tu
Jo neend aa jaye saiyan ki baiyan mein
To zindagi bhar zagana na tu

Hum aaj dono akele hain
Sun bawari shor yunhi machana na tu
Jo neend aa jaye saiyan ki baiyan mein
To zindagi bhar zagana na tu
Dheere dheere haule haule
Man ki kahani aa ri deewani

Chhupte chhupate tu bhi sun ja
Sun ja aa thandi hawa
Aaha tham ja aye kaali ghata

Par yaad rakhna yeh baatein kisi aur se
Jaake bairan Tu kehna nahi
Naino mein nindiya nahi aaj bas
Aaj hamre jiya mein bhi chaina nahi
Chori chori chupke chupke
Ik doosre se hum jo kahenge
Hanste hansate tu bhi sun ja
Sun ja aa thandi hawa
Aaha tham ja aye kaali ghata

Baadal se hai prem tera
Use roz parbat pe milne ko jaati hai tu
Ho karke sajan se milan aye pavan
Kis tarah jhoomti gaati aati hai tu

Baadal se hai prem tera
Use roz parbat pe milne ko jaati hai tu
Ho karke sajan se milan aye pavan
Kis tarah jhoomti gaati aati hai tu

Kuchh aisa haal hai mera
Sunte hain saare mast nazare
Chalte chalate tu bhi sun ja

Sun ja aa thandi hawa
Aaha tham ja aye kaali ghata
Kuchh pyari pyari baatein hamari
Aa jaate jaate tu bhi sun ja
Sun ja aa thandi hawa
Aaha tham ja aye kaali ghata


Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO