LYRIC

Thodi jagah de de mujhe
Tere paas kahin reh jaaun main..
Khamoshiyaan teri sunu
Aur door kahin na jaaun main..
Apni khushi deke main tujhe
Tere dard,, se jud jaaun main….
Mila jo tu yahaan mujhe
Dilaaun main yaqeen tujhe
Rahoon hoke tera sadaa
Bas itna chaahta hoon main..
Thodi jagah de de mujhe
Tere paas kahin reh jaaun main..
Hoon besahara tere bina main
Tu jo na ho to main bhi nahin..
Dekhun tujhe yaara jitni dafaa main
Tujhpe hai aata mujhko yaqeen.
Sabse main juda hoke abhi
Teri rooh se jud jaaun main….
Mila jo tu yahaan mujhe
Dilaaun main yaqeen tujhe
Rahoon hoke tera sadaa
Bas itna chaahta hoon main
Thodi jagah de de mujhe
Tere paas kahin reh jaaun main
Khamoshiyaan teri sunu
Aur door kahin na jaaun main

Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO