LYRIC

kal tak main, akela tha,
aaj zamaana saath hai,
waqt waqt ki baat hai, samjhe na?
waqt waqt ki baat hai,
kal tak main, akela tha,
aaj zamaana saath hai,
waqt, waqt ki baat hai,
waqt waqt ki baat hai
jab itna mashhoor na tha,
yaaro mera naam,
tab pani na milta tha,
ab milte hai jaam,
kal ye raat, andheri thi,
aaj suhani raat hai,
hey waqt, waqt ki baat hai,
waqt waqt ki baat hai
sunkar meri baaton ko,
hai duniya hairan,
dekhte rehgaye sab,
maine maar liya maidan,
kal dil mein, veerani thi,
aaj magar baarat hai,
hey waqt waqt ki baat hai,
waqt waqt ki baat hai
aaj tu jaanegi mujhko,
aye mere mehboob,
bhola bhala hoon lekin,
aadmi hoon main khhoob,
kal tha jis ka intezar,
aaj woh mulaqaat hai,
hey waqt, waqt ki baat hai,
waqt waqt ki baat hai,
kal tak main, akela tha,
aaj zamaana saath hai,
hey waqt waqt ki baat hai,
waqt, waqt ki baat hai

Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO