LYRIC

Kabhi pehle dekha nahin yeh sama
Yeh main bhool se aa gaya hoon kahaan
Yahaan main ajnabi hoon
Yahaan main ajnabi hoon
Main jo hoon bas wohi hoon
Main jo hoon bas wohi hoon
Yahaan main ajnabi hoon
Yahaan main ajnabi hoon

Kahaan shaam-o-seher yeh kahaan din raat mere
Bahut ruswa hue hain yahaan jazbaat mere
Nayi tehzeeb hai yeh naya hai yeh zamana
Magar main aadmi hoon wohi sadiyon puraana
Main kya jaanu yeh baatein zara insaaf karna
Meri gustakhiyon ko khudara maaf karna
Yahaan main ajnabi hoon
Yahaan main ajnabi hoon

Teri baahon mein dekhu sanam gairon ki baahein
Main laoonga kahaan se bhala aisi nigaahein
Yeh koi raks hoga koi dastur hoga
Mujhe dastur aisa kahaan manzoor hoga
Bhala kaise yeh mera lahu ho jaye paani
Main kaise bhool jaaun main hoon hindustani
Yahaan main ajnabi hoon
Yahaan main ajnabi hoon

Mujhe bhi hai shikayat tujhe bhi to gila hai
Yahi shikve hamari mohabbat ka sila hai
Kabhi magarib se mashariq mila hai jo milega
Jahaan ka phool hai jo wohi pe woh khilega
Tere oonche mehal mein nahin mera guzara
Mujhe yaad aa raha hai woh chhota sa shikara
Yahaan main ajnabi hoon
Yahaan main ajnabi hoon
Main jo hoon bas wohi hoon
Main jo hoon bas wohi hoon
Yahaan main ajnabi hoon
Yahaan main ajnabi hoon


Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO