LYRIC

Kabhi na kabhi kahin na kahin

koi na koi to aayega

kabhi na kabhi kahin na kahin

koi na koi to aayega

apna mujhe banaayega

dil mein mujhe basaayega

kabhi na kabhi kahin na kahin

koi na koi tho aayega

 

kab se tanhaa ghoom raha hoon

duniya ke veeraane mein

khaali jaam liye baitha hoon

kab se is maikhaane mein

koi to hoga mera saaqi

koi to pyaas bujhaayega

kabhi na kabhi kahin na kahin

koi na koi to aayega

 

kisi ne mera dil na dekha

na dil ka paighaam sunaa

mujhko bas aawaara samjha

jisne mera naam sunaa

ab tak to sabne thukraaya

koi to paas bithaayega

kabhi na kabhi kahin na kahin

koi na koi to aayega

 

kabhi to dega sannate mein

pyaar bhari aawaaz koi

kaun ye jaane kab mil jaaye

raste mein hamraaz koi

mere dil ka dard samajhkar

do aansoo to bahaayega

kabhi na kabhi kahin na kahin

koi na koi to aayega

 

apna mujhe banaayega

dil mein mujhe basaayega

kabhi na kabhi kahin na kahin

koi na koi to aayega

koi na koi to aayega..


Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO