LYRIC

Kismat se tum humko mile ho, kaise chhodenge
Yeh haath hum na chhodenge
Kismat se tum humko mile ho, kaise chhodenge
Yeh haath hum na chhodenge
Phir se banati takdeeron ko
Armaanon ki zanjeeron ko
Jaanam ab na todenge

Kya kahoon kaise lagte hain
Dil pe zulfon ke saaye
Koi bhoola raahi jaise manzil pa jaaye
Ya koi dil toofan ka mara
Dard ki lehron mein awara
Koi pyara pyaar ka saahil pa jaaye
Kismat se tum humko mile ho, kaise chhodenge
Yeh haath hum na chhodenge

Tukde dil ke hum-tum mil ke phir se jodenge
Yeh sheesha phir se jodenge
Phir se banati takdeeron ko
Armaanon ki zanjeeron ko
Jaanam ab na todenge

Yoon sharmaati, yoon ghabraati
Aise simti simtaai
O mere baalam yoon hi nahin main
Jaate jaate laut aayi o..
Preet meri pehchaani toone
Meri kadar to jaani toone
Ab dil jaaga hosh mein chahat ab aayi

Kismat se tum humko mile ho, kaise chhodenge
Yeh haath hum na chhodenge
Tukde dil ke hum-tum mil ke phir se jodenge
Yeh sheesha phir se jodenge
Phir se banati takdeeron ko
Armaanon ki zanjeeron ko
Jaanam ab na todenge
Kismat se tum humko mile ho, kaise chhodenge
Yeh haath hum na chhodenge

Added by

Alpha Editor

SHARE

Comments are off this post

ADVERTISEMENT

VIDEO